daman-e-qatil jo uD uD kar hawa dene lage
dāman-e-qātil jo uḌ uḌ kar havā dene lage
kyā batā.ūñ zaḳhm-e-dil kyā kyā duā dene lage
vaa.e nākāmī kahāñ saffāk ne rokā hai haath
zaḳhm-hā-e-shauq jab kuchh kuchh mazā dene lage
chārasāzo mujh se rusvā jāñ-ba-lab bīmār ko
zahr denā chāhiye thā tum davā dene lage
yaas o hirmāñ āh-e-sozāñ ashk-e-ḳhūñ dāġh-e-junūñ
hazrat-e-ishq aur kyā is ke sivā dene lage
aaj ho shāyad kisī ko ātish-e-ġham kī ḳhabar
shukr hai ab ustuḳhvāñ bū-e-vafā dene lage
kyā muḳhālif ho ga.ī ham se zamāne kī havā
'yās' dekho hazrat-e-dil bhī daġhā dene lage
daman-e-qatil jo uD uD kar hawa dene lage
kya bataun zaKHm-e-dil kya kya dua dene lage
wae nakaami kahan saffak ne roka hai hath
zaKHm-ha-e-shauq jab kuchh kuchh maza dene lage
chaarasazo mujh se ruswa jaan-ba-lab bimar ko
zahr dena chahiye tha tum dawa dene lage
yas o hirman aah-e-sozan ashk-e-KHun dagh-e-junun
hazrat-e-ishq aur kya is ke siwa dene lage
aaj ho shayad kisi ko aatish-e-gham ki KHabar
shukr hai ab ustuKHwan bu-e-wafa dene lage
kya muKHalif ho gai hum se zamane ki hawa
'yas' dekho hazrat-e-dil bhi dagha dene lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.