daman-e-sad-chaak ko ek bar si leta hun main
daman-e-sad-chaak ko ek bar si leta hun main
Rajendra Nath Rahbar
MORE BYRajendra Nath Rahbar
dāman-e-sad-chāk ko ik baar sī letā huuñ maiñ
tum agar kahte ho to kuchh roz jī letā huuñ maiñ
be-sabab piinā mirī ādāt meñ shāmil nahīñ
mast āñkhoñ kā ishāra ho to pī letā huuñ maiñ
gesuoñ kā ho ghanā saaya ki shiddat dhuup kī
vo mujhe jis rañg meñ rakhtā hai jī letā huuñ maiñ
aate aate aa ga.e andāz jiine ke mujhe
ab to 'rahbar' ḳhuun ke aañsū bhī pī letā huuñ maiñ
daman-e-sad-chaak ko ek bar si leta hun main
tum agar kahte ho to kuchh roz ji leta hun main
be-sabab pina meri aadat mein shamil nahin
mast aankhon ka ishaara ho to pi leta hun main
gesuon ka ho ghana saya ki shiddat dhup ki
wo mujhe jis rang mein rakhta hai ji leta hun main
aate aate aa gae andaz jine ke mujhe
ab to 'rahbar' KHun ke aansu bhi pi leta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.