Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daman-e-shab mein sitare chamke

Shareef Munawwar

daman-e-shab mein sitare chamke

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    dāman-e-shab meñ sitāre chamke

    nā-umīdī meñ sahāre chamke

    jo kabhī bā.is-e-rusvā.ī the

    ab vahī daaġh hamāre chamke

    ek ḳhurshīd Dhalā siine meñ

    sar-e-mizhgāñ ka.ī taare chamke

    bahr kis shaan se pāyāb huā

    ham jo Duube to kināre chamke

    mahr ubhrā to sabhī raushan the

    kaun se aap nyāre chamke

    āshiqī dar-ba-darī naġhmagarī

    ham se ye saare idāre chamke

    daman-e-shab mein sitare chamke

    na-umidi mein sahaare chamke

    jo kabhi bais-e-ruswai the

    ab wahi dagh hamare chamke

    ek KHurshid Dhala sine mein

    sar-e-mizhgan kai tare chamke

    bahr kis shan se payab hua

    hum jo Dube to kinare chamke

    mahr ubhra to sabhi raushan the

    kaun se aap hi nyare chamke

    aashiqi dar-ba-dari naghmagari

    hum se ye sare idare chamke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now