daman-e-tar-tar ke din hain
daman-e-tar-tar ke din hain
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
dāman-e-tār-tār ke din haiñ
phir chaman meñ bahār ke din haiñ
dil-e-ḳhūñ-gashta hai yahāñ jab tak
lāla-e-dāġh-dār ke din haiñ
chaak hotā hai dāman-e-hastī
gulsitāñ meñ bahār ke din haiñ
haa.e kyā chiiz hai javānī bhī
be-piye hī ḳhumār ke din haiñ
hāsil-e-ishq hai fareb-e-umīd
din to bas intizār ke din haiñ
ho rahe haiñ sitam ba-qadr-e-vafā
'kaifī'-e-dil-figār ke din haiñ
daman-e-tar-tar ke din hain
phir chaman mein bahaar ke din hain
dil-e-KHun-gashta hai yahan jab tak
lala-e-dagh-dar ke din hain
chaak hota hai daman-e-hasti
gulsitan mein bahaar ke din hain
hae kya chiz hai jawani bhi
be-piye hi KHumar ke din hain
hasil-e-ishq hai fareb-e-umid
din to bas intizar ke din hain
ho rahe hain sitam ba-qadr-e-wafa
'kaifi'-e-dil-figar ke din hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.