daman-e-zist gham se bhar Dala
dāman-e-zīst ġham se bhar Daalā
bevafā tujh se pyaar kar Daalā
itnā ehsās ban chukā huuñ maiñ
apnā ehsās qatl kar Daalā
ham ne maazī se rābta karke
apne zaḳhmoñ ko aaj bhar Daalā
jis kī ḳhātir hue haiñ ham rusvā
vo bhī ahd-e-vafā makr Daalā
us ko manzil to baḳhsh dī mālik
mere hisse meñ kyoñ safar Daalā
sab ko tujh se atā huī ne.amat
merī duniyā meñ bas safar Daalā
dil to pahle hī luT gayā 'kāshif'
apnī ġhazloñ meñ phir jigar Daalā
daman-e-zist gham se bhar Dala
bewafa tujh se pyar kar Dala
itna ehsas ban chuka hun main
apna ehsas qatl kar Dala
hum ne mazi se rabta karke
apne zaKHmon ko aaj bhar Dala
jis ki KHatir hue hain hum ruswa
wo bhi ahd-e-wafa makr Dala
us ko manzil to baKHsh di malik
mere hisse mein kyon safar Dala
sab ko tujh se ata hui neamat
meri duniya mein bas safar Dala
dil to pahle hi luT gaya 'kashif'
apni ghazlon mein phir jigar Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.