daman-e-zist ko ashkon se bhigo lete hain
dāman-e-zīst ko ashkoñ se bhigo lete haiñ
jin ko hañsnā nahīñ aatā hai vo ro lete haiñ
har ḳhushī ġham ke añdheroñ meñ samo lete haiñ
daf.atan ham jo tirī yaad meñ ro lete haiñ
ham vo vahshī haiñ ki jab niiñd hameñ aatī hai
tauq-o-zanjīr ke pahlū meñ bhī so lete haiñ
ab ye aalam hai ki jab yaad tirī aatī hai
ik zarā der ko maġhmūm se ho lete haiñ
tum bhī guzre hue hālāt kā mātam kar lo
ham bhī apne dil-e-marhūm ko ro lete haiñ
daman-e-zist ko ashkon se bhigo lete hain
jin ko hansna nahin aata hai wo ro lete hain
har KHushi gham ke andheron mein samo lete hain
dafatan hum jo teri yaad mein ro lete hain
hum wo wahshi hain ki jab nind hamein aati hai
tauq-o-zanjir ke pahlu mein bhi so lete hain
ab ye aalam hai ki jab yaad teri aati hai
ek zara der ko maghmum se ho lete hain
tum bhi guzre hue haalat ka matam kar lo
hum bhi apne dil-e-marhum ko ro lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.