daman ki hawa yaad na zulfon ki ghaTa yaad
dāman kī havā yaad na zulfoñ kī ghaTā yaad
ab kuchh bhī nahīñ soz-e-ġham-e-dil ke sivā yaad
sargarm-e-safar thā na rahā kuchh bhī mujhe yaad
naqsh-e-kaf-e-pā yaad na manzil kā patā yaad
tum aa ga.e jab yaad to kuchh bhī na rahā yaad
kab tum ne bhulāyā mujhe kab tum ne kiyā yaad
ab kuchh bhī nahīñ ek ġham-e-dil ke sivā yaad
phir bhī hai tirī nīm-nigāhī kī adā yaad
vo daur ki ab mujh ko zarā bhī na rahā yaad
yuuñ ālam-e-furqat meñ tujhe maiñ ne kiyā yaad
mad.hosh kiyā jis ne mujhe soz-e-navā se
ab tak hai vahī naġhma-e-be-sāz-o-sadā yaad
allāh re ye be-ḳhudī-e-shauq kā aalam
kūche meñ tire aa ke tirā ghar na rahā yaad
muddat huī ḳhud apnī navā yaad na aa.ī
ehsās ko ab tak hai magar terī sadā yaad
yuuñ sub.h rulāne ke liye kam to nahīñ thī
kyoñ shām-e-judā.ī kā samay aa hī gayā yaad
kuchh tujh ko jafāoñ ke sivā yaad nahīñ hai
lekin nahīñ kuchh mujh ko duāoñ ke sivā yaad
Dartā huuñ ḳhabar gardish-e-daurāñ ko na ho jaa.e
ai dost ye kyoñ aaj mujhe tū ne kiyā yaad
nisyāñ kā 'hayāt' is se ta.alluq nahīñ kuchh bhī
un kī bhī jafā yaad hai apnī bhī vafā yaad
daman ki hawa yaad na zulfon ki ghaTa yaad
ab kuchh bhi nahin soz-e-gham-e-dil ke siwa yaad
sargarm-e-safar tha na raha kuchh bhi mujhe yaad
naqsh-e-kaf-e-pa yaad na manzil ka pata yaad
tum aa gae jab yaad to kuchh bhi na raha yaad
kab tum ne bhulaya mujhe kab tum ne kiya yaad
ab kuchh bhi nahin ek gham-e-dil ke siwa yaad
phir bhi hai teri nim-nigahi ki ada yaad
wo daur ki ab mujh ko zara bhi na raha yaad
yun aalam-e-furqat mein tujhe main ne kiya yaad
madhosh kiya jis ne mujhe soz-e-nawa se
ab tak hai wahi naghma-e-be-saz-o-sada yaad
allah re ye be-KHudi-e-shauq ka aalam
kuche mein tere aa ke tera ghar na raha yaad
muddat hui KHud apni nawa yaad na aai
ehsas ko ab tak hai magar teri sada yaad
yun subh rulane ke liye kam to nahin thi
kyon sham-e-judai ka samay aa hi gaya yaad
kuchh tujh ko jafaon ke siwa yaad nahin hai
lekin nahin kuchh mujh ko duaon ke siwa yaad
Darta hun KHabar gardish-e-dauran ko na ho jae
ai dost ye kyon aaj mujhe tu ne kiya yaad
nisyan ka 'hayat' is se talluq nahin kuchh bhi
un ki bhi jafa yaad hai apni bhi wafa yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.