daman lahu-lahu hai gareban lahu-lahu
dāman lahū-lahū hai garebāñ lahū-lahū
haiñ kushtagān-e-fasl-e-bahārāñ lahū-lahū
shāyad guzar chukī hai asīroñ kī jaan par
zanjīr hai ḳhamosh to zindāñ lahū-lahū
go ho chukā vajūd patañgoñ kā be-nishāñ
hai dāman-e-charāġh-e-shabistāñ lahū-lahū
kis kārvān-e-ābla-pā kā guzar huā
hai dasht ḳhūn-ḳhūn bayābāñ lahū-lahū
ḳhanjar-fashāñ hai kis kī ḳhudā.ī chahār samt
har gaam par hai azmat-e-insāñ lahū-lahū
āñchal hai surḳh ḳhuuñ se urūs-e-bahār kā
gulchīñ ke jaur se hai gulistāñ lahū-lahū
jaulāñ faqat ragoñ meñ 'mubārak' lahū nahīñ
hai qalb-tā-ba-dīda-e-giryāñ lahū-lahū
daman lahu-lahu hai gareban lahu-lahu
hain kushtagan-e-fasl-e-bahaaran lahu-lahu
shayad guzar chuki hai asiron ki jaan par
zanjir hai KHamosh to zindan lahu-lahu
go ho chuka wajud patangon ka be-nishan
hai daman-e-charagh-e-shabistan lahu-lahu
kis karwan-e-abla-pa ka guzar hua
hai dasht KHun-KHun bayaban lahu-lahu
KHanjar-fashan hai kis ki KHudai chahaar samt
har gam par hai azmat-e-insan lahu-lahu
aanchal hai surKH KHun se urus-e-bahaar ka
gulchin ke jaur se hai gulistan lahu-lahu
jaulan faqat ragon mein 'mubarak' lahu nahin
hai qalb-ta-ba-dida-e-giryan lahu-lahu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.