daman mein aansu mat bona
dāman meñ aañsū mat bonā
haath aa.e motī kyā khonā
bhīge kāġhaz kī tahrīr meñ
dhuup nikal aa.e to dhonā
chādar to sarkāo sar se
āñgan meñ bikhrā hai sonā
ye mahfil hai hans lo gā lo
tanhā.ī meñ khul kar ronā
pīchhe muḌ kar dekhne vaale
patthar meñ tabdīl na honā
us se kuchh kahne kā matlab
aañsū meñ āvāz bhigonā
daman mein aansu mat bona
hath aae moti kya khona
bhige kaghaz ki tahrir mein
dhup nikal aae to dhona
chadar to sarkao sar se
aangan mein bikhra hai sona
ye mahfil hai hans lo ga lo
tanhai mein khul kar rona
pichhe muD kar dekhne wale
patthar mein tabdil na hona
us se kuchh kahne ka matlab
aansu mein aawaz bhigona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.