daman pe rang-e-lala-o-gul aana chahiye
dāman pe rang-e-lāla-o-gul aanā chāhiye
dil ḳhuun ho ke āñkhoñ se bah jaanā chāhiye
mere sukūt hī kā sahī zikr kū-ba-kū
logoñ ko ek shaġhl ik afsāna chāhiye
aa.e vo aarzū ho jise diid kī magar
mahfil meñ us kī jaan kā nazrāna chāhiye
ab ban gayā hai dard hī vaj.h-e-sukūn-e-dil
ab mujh ko dard-e-dil kā mudāvā na chāhiye
phir dil ko hai usī ḳhalish-e-tīr kī talab
phir vo nigāh-e-nargis-e-mastāna chāhiye
'qāsid' safar kā azm hī jab tum ne kar liyā
phir hādsāt-e-rah se na ghabrānā chāhiye
daman pe rang-e-lala-o-gul aana chahiye
dil KHun ho ke aankhon se bah jaana chahiye
mere sukut hi ka sahi zikr ku-ba-ku
logon ko ek shaghl ek afsana chahiye
aae wo aarzu ho jise did ki magar
mahfil mein us ki jaan ka nazrana chahiye
ab ban gaya hai dard hi wajh-e-sukun-e-dil
ab mujh ko dard-e-dil ka mudawa na chahiye
phir dil ko hai usi KHalish-e-tir ki talab
phir wo nigah-e-nargis-e-mastana chahiye
'qasid' safar ka azm hi jab tum ne kar liya
phir hadsat-e-rah se na ghabrana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.