daman tahen kiye hue sina ubhaar ke
dāman taheñ kiye hue siina ubhār ke
jaatā hai koī qarz-e-gulistāñ utaar ke
phūloñ kā haar rakh do gale se utaar ke
din lad ga.e guloñ ke ab aa.e haiñ ḳhaar ke
ḳhāmosh ho gayā koī āñkheñ pasār ke
lamhe hue na ḳhatm tire intizār ke
vo kyā ga.e ki rūh-e-gulistāñ nikal ga.ī
aa.ī nahīñ ḳhizāñ ki ga.e din bahār ke
har ek gaam par ye ḳhabar-dār kiye haiñ
ehsān haiñ ye mujh pe ġham-e-be-shumār ke
daman tahen kiye hue sina ubhaar ke
jata hai koi qarz-e-gulistan utar ke
phulon ka haar rakh do gale se utar ke
din lad gae gulon ke ab aae hain KHar ke
KHamosh ho gaya koi aankhen pasar ke
lamhe hue na KHatm tere intizar ke
wo kya gae ki ruh-e-gulistan nikal gai
aai nahin KHizan ki gae din bahaar ke
har ek gam par ye KHabar-dar kiye hain
ehsan hain ye mujh pe gham-e-be-shumar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.