daman wasi tha to kahe ko chashm tarsa
dāman vasī' thā to kaahe ko chashm tarsā
rahmat ḳhudā kī tujh ko ai abr zor barsā
shāyad kabāb kar kar khāyā kabūtar un ne
naama uḌā phire hai us kī galī meñ par sā
vahshī mizāj az-bas mānūs bādya haiñ
un ke junūñ meñ jangal apnā huā hai ghar sā
jis haath meñ rahā kī us kī kamar hamesha
us haath mārne kā sar par bañdhā hai kar sā
sab pech kī ye bāteñ haiñ shā'iroñ kī varna
bārīk aur nāzuk mū kab hai us kamar sā
tarz-e-nigāh us kī dil le ga.ī sabhoñ ke
kyā momin o brahman kyā gabr aur tarsā
tum vāqif-e-tarīq-e-be-tāqatī nahīñ ho
yaañ rāh-e-do-qadam hai ab duur kā safar sā
kuchh bhī ma'āsh hai ye kī un ne ek chashmak
jab muddatoñ hamārā jī dekhne ko tarsā
Tuk tark-e-'ishq kariye lāġhar bahut hue ham
aadhā nahīñ rahā hai ab jism-e-rañj-farsā
vā'iz ko ye jalan hai shāyad ki farbahī se
rahtā hai hauz hī meñ aksar paḌā magar sā
andāz se hai paidā sab kuchh ḳhabar hai us ko
go 'mīr' be-sar-o-pā zāhir hai be-ḳhabar sā
daman wasi' tha to kahe ko chashm tarsa
rahmat KHuda ki tujh ko ai abr zor barsa
shayad kabab kar kar khaya kabutar un ne
nama uDa phire hai us ki gali mein par sa
wahshi mizaj az-bas manus baadya hain
un ke junun mein jangal apna hua hai ghar sa
jis hath mein raha ki us ki kamar hamesha
us hath marne ka sar par bandha hai kar sa
sab pech ki ye baaten hain sha'iron ki warna
barik aur nazuk mu kab hai us kamar sa
tarz-e-nigah us ki dil le gai sabhon ke
kya momin o brahman kya gabr aur tarsa
tum waqif-e-tariq-e-be-taqati nahin ho
yan rah-e-do-qadam hai ab dur ka safar sa
kuchh bhi ma'ash hai ye ki un ne ek chashmak
jab muddaton hamara ji dekhne ko tarsa
Tuk tark-e-'ishq kariye laghar bahut hue hum
aadha nahin raha hai ab jism-e-ranj-farsa
wa'iz ko ye jalan hai shayad ki farbahi se
rahta hai hauz hi mein aksar paDa magar sa
andaz se hai paida sab kuchh KHabar hai us ko
go 'mir' be-sar-o-pa zahir hai be-KHabar sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.