dana-e-gandum-e-bedar uThane laga hun
dāna-e-gandum-e-bedār uThāne lagā huuñ
ḳhaak huuñ ḳhaak kā āzār uThāne lagā huuñ
kurra-e-hijr se honā hai numūdār mujhe
maiñ tire ishq kā inkār uThāne lagā huuñ
lau ne sardār kiye rakkhā hai shab bhar tum ko
ai charāġho maiñ ye dastār uThāne lagā huuñ
ye khulī jañg hai aur jañg bhī hai apne ḳhilāf
is liye apne taraf-dār uThāne lagā huuñ
ek āvāz mirī niiñd uḌā detī hai
ibn-e-ādam tire āsār uThāne lagā huuñ
dana-e-gandum-e-bedar uThane laga hun
KHak hun KHak ka aazar uThane laga hun
kurra-e-hijr se hona hai numudar mujhe
main tere ishq ka inkar uThane laga hun
lau ne sardar kiye rakkha hai shab bhar tum ko
ai charagho main ye dastar uThane laga hun
ye khuli jang hai aur jang bhi hai apne KHilaf
is liye apne taraf-dar uThane laga hun
ek aawaz meri nind uDa deti hai
ibn-e-adam tere aasar uThane laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.