dane ke baad kuchh nahin dam ke baad kuchh nahin
daane ke baa'd kuchh nahīñ daam ke baa'd kuchh nahīñ
sub.h ke baa'd shaam hai shaam ke baa'd kuchh nahīñ
ḳhvāb kā āḳhirī ḳhumār aañkh meñ hai kuchh intizār
niiñd zarā sā kaam hai kaam ke baa'd kuchh nahīñ
ḳhāk-e-ḳharāb huuñ zamīñ tū mirā mājrā na sun
naqsh ke baa'd naam thā naam ke baa'd kuchh nahīñ
shahr kī had bhī maap lī shaam bhī dil pe chhāp lī
ek charāġh aur ek baam ke baa'd kuchh nahīñ
vasl gayā to hijr thā hijr gayā to kuchh na thā
ḳhaas ke baa'd aam hoñ aam ke baa'd kuchh nahīñ
jism kā nashsha pī chuke apnī taraf se jī chuke
chaliye ki jaam ulaT chukā jaam ke baa'd kuchh nahīñ
dane ke ba'd kuchh nahin dam ke ba'd kuchh nahin
subh ke ba'd sham hai sham ke ba'd kuchh nahin
KHwab ka aaKHiri KHumar aankh mein hai kuchh intizar
nind zara sa kaam hai kaam ke ba'd kuchh nahin
KHak-e-KHarab hun zamin tu mera majra na sun
naqsh ke ba'd nam tha nam ke ba'd kuchh nahin
shahr ki had bhi map li sham bhi dil pe chhap li
ek charagh aur ek baam ke ba'd kuchh nahin
wasl gaya to hijr tha hijr gaya to kuchh na tha
KHas ke ba'd aam hon aam ke ba'd kuchh nahin
jism ka nashsha pi chuke apni taraf se ji chuke
chaliye ki jam ulaT chuka jam ke ba'd kuchh nahin
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 81)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.