danishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha
dānishvaroñ ke bas meñ ye radd-e-amal na thā
maiñ aisī teġh le ke uThā jis meñ phal na thā
kyā dard TuuT TuuT ke barsā hai rāt-bhar
itnā ġhubār to mire chehre pe kal na thā
pathrāv kar rahā hai vo ḳhud apnī zaat par
kyā dil ke mas.ale kā koī aur hal na thā
shāḳheñ ladī huī thiiñ to pathar na thā nasīb
pathar paḌe mile to daraḳhtoñ meñ phal na thā
shab kī havā se haar ga.ī mere dil kī aag
yaḳh-basta shahr meñ koī radd-o-badal na thā
ab ek ek harf se chhantī hai raushnī
tum se mile na the to ye husn-e-ġhazal na thā
ye kah ke sab ne barf meñ dafnā diyā mujhe
kyoñ dūsroñ kī tarah mirā zehn shal na thā
'qaisar' zamīr-e-vaqt ko dekhā kured ke
sadiyāñ rakhī thiiñ dosh pe muTThī meñ pal na thā
danishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha
main aisi tegh le ke uTha jis mein phal na tha
kya dard TuT TuT ke barsa hai raat-bhar
itna ghubar to mere chehre pe kal na tha
pathraw kar raha hai wo KHud apni zat par
kya dil ke masale ka koi aur hal na tha
shaKHen ladi hui thin to pathar na tha nasib
pathar paDe mile to daraKHton mein phal na tha
shab ki hawa se haar gai mere dil ki aag
yaKH-basta shahr mein koi radd-o-badal na tha
ab ek ek harf se chhanti hai raushni
tum se mile na the to ye husn-e-ghazal na tha
ye kah ke sab ne barf mein dafna diya mujhe
kyon dusron ki tarah mera zehn shal na tha
'qaisar' zamir-e-waqt ko dekha kured ke
sadiyan rakhi thin dosh pe muTThi mein pal na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.