danista kabhi aisi himaqat nahin karta
dānista kabhī aisī himāqat nahīñ kartā
fankār huuñ tauhīn-e-mohabbat nahīñ kartā
kyā raas use aa.egī dastār-e-fazīlat
jo apne usūloñ kī hifāzat nahīñ kartā
is daur meñ ham us ko farishta hī kaheñge
fāqoñ meñ jo ġhairat kī tijārat nahīñ kartā
tūfān se laḌne kā agar shauq na hotā
maiñ ‘azmat-e-sāhil se baġhāvat nahīñ kartā
shāyad hai 'azīz us ko mirī muflisī 'ālam'
vo mere muqaddar kī marammat nahīñ kartā
danista kabhi aisi himaqat nahin karta
fankar hun tauhin-e-mohabbat nahin karta
kya ras use aaegi dastar-e-fazilat
jo apne usulon ki hifazat nahin karta
is daur mein hum us ko farishta hi kahenge
faqon mein jo ghairat ki tijarat nahin karta
tufan se laDne ka agar shauq na hota
main ‘azmat-e-sahil se baghawat nahin karta
shayad hai 'aziz us ko meri muflisi 'alam'
wo mere muqaddar ki marammat nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.