dar-o-rasan pe har koi mansur to nahin
dar-o-rasan pe har koi mansur to nahin
Chandrashekhar Pandey Shams
MORE BYChandrashekhar Pandey Shams
dār-o-rasan pe har koī mansūr to nahīñ
jhulse hue pahāḌ sabhī tuur to nahīñ
īsā-nafas hai ishq agar ye batā.iye
ki hai kabhī salīb se vo duur to nahīñ
haiñ rāhzan ye sāñseñ mirī kyā batā.ūñ maiñ
phir bhī safar hayāt kā majbūr to nahīñ
ye raushnī qasīda hai tere zuhūr kā
āñkhoñ se dikh sake vo tirā nuur to nahīñ
patthar gale meñ bāñdh ke dariyā meñ Duub jā
ai 'shams' terā ishq use manzūr to nahīñ
dar-o-rasan pe har koi mansur to nahin
jhulse hue pahaD sabhi tur to nahin
isa-nafas hai ishq agar ye bataiye
ki hai kabhi salib se wo dur to nahin
hain rahzan ye sansen meri kya bataun main
phir bhi safar hayat ka majbur to nahin
ye raushni qasida hai tere zuhur ka
aankhon se dikh sake wo tera nur to nahin
patthar gale mein bandh ke dariya mein Dub ja
ai 'shams' tera ishq use manzur to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.