dar-o-zondan bhi jam-o-chang bhi hai
dār-o-zondāñ bhī jam-o-chañg bhī hai
zindagī be-karāñ bhī tañg bhī hai
ahl-e-mahfil hoñ yuuñ na afsurda
dāman-e-shab meñ kaif-o-rañg bhī hai
tujhe khone kā dil ko ġham bhī nahīñ
tujhe paane kī ik umañg bhī hai
kaun jaane ki marg hai sāmāñ
bā.is-e-hifz nām-o-nañg bhī hai
allāh allāh siyāsat-e-hāzir
sulh ke saath saath jañg bhī hai
dar-o-zondan bhi jam-o-chang bhi hai
zindagi be-karan bhi tang bhi hai
ahl-e-mahfil hon yun na afsurda
daman-e-shab mein kaif-o-rang bhi hai
tujhe khone ka dil ko gham bhi nahin
tujhe pane ki ek umang bhi hai
kaun jaane ki marg hai saman
bais-e-hifz nam-o-nang bhi hai
allah allah siyasat-e-hazir
sulh ke sath sath jang bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.