dar pe chaDh ke jo tajdid-e-wafa hoti hai
daar pe chaḌh ke jo tajdīd-e-vafā hotī hai
is shahādat pe to sau jaan fidā hotī hai
jin ko da.ava-e-ḳhirad ho zarā aa kar dekheñ
ishq kī raah bahut hosh-rubā hotī hai
dard meñ Duubī nigāhoñ kī zabāñ hai goyā
aur bātoñ se go ye baat judā hotī hai
husn jab soz-e-mohabbat se jilā paatā hai
kyā tajallī pas-e-fānūs-e-vafā hotī hai
un hasīñ āñkhoñ meñ hai hasrat altāf-o-karam
dil hī jaane ye qayāmat kī adā hotī hai
phuul ke dīda-e-pur-nam kā ye anjām ba-ḳhair
pattiyāñ jhaḌtī haiñ shabnam bhī ḳhafā hotī hai
sub.h tak hāl-e-dil-e-zār pe ro lo 'aḳhtar'
is ghaḌī dard ke māroñ kī davā hotī hai
dar pe chaDh ke jo tajdid-e-wafa hoti hai
is shahadat pe to sau jaan fida hoti hai
jin ko dawa-e-KHirad ho zara aa kar dekhen
ishq ki rah bahut hosh-ruba hoti hai
dard mein Dubi nigahon ki zaban hai goya
aur baaton se go ye baat juda hoti hai
husn jab soz-e-mohabbat se jila pata hai
kya tajalli pas-e-fanus-e-wafa hoti hai
un hasin aankhon mein hai hasrat altaf-o-karam
dil hi jaane ye qayamat ki ada hoti hai
phul ke dida-e-pur-nam ka ye anjam ba-KHair
pattiyan jhaDti hain shabnam bhi KHafa hoti hai
subh tak haal-e-dil-e-zar pe ro lo 'aKHtar'
is ghaDi dard ke maron ki dawa hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.