dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai
dāstān-e-fitrat hai zarf kī kahānī hai
jitnā uthlā dariyā hai utnā tez paanī hai
jin laboñ ne sīñchā hai tishnagī ke ḳhāroñ ko
ab unhīñ ke hisse meñ jām-e-kāmrānī hai
phir se khulne vaalā hai koī taaza gul shāyad
bāġhbāñ kī phir ham par ḳhāsī mehrbānī hai
aql kab se bhaTke hai nafratoñ kī vaadī meñ
pyaar kī magar ab bhī dil pe hukmarānī hai
zaḳhm khāte rahte haiñ muskurāte rahte haiñ
ham vafā-shanāsoñ kī ye adā purānī hai
barf ban ga.e armāñ munjamid hue jazbe
ziist ke samundar meñ kitnā sard paanī hai
apne saa.e se ham ḳhud ai hayāt Darte haiñ
maslahat kī duniyā meñ kitnī bad-gumānī hai
dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai
jitna uthla dariya hai utna tez pani hai
jin labon ne sincha hai tishnagi ke KHaron ko
ab unhin ke hisse mein jam-e-kaamrani hai
phir se khulne wala hai koi taza gul shayad
baghban ki phir hum par KHasi mehrbani hai
aql kab se bhaTke hai nafraton ki wadi mein
pyar ki magar ab bhi dil pe hukmarani hai
zaKHm khate rahte hain muskuraate rahte hain
hum wafa-shanason ki ye ada purani hai
barf ban gae arman munjamid hue jazbe
zist ke samundar mein kitna sard pani hai
apne sae se hum KHud ai hayat Darte hain
maslahat ki duniya mein kitni bad-gumani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.