dastan-e-gham-e-dil aam na ho jae kahin
dāstān-e-ġham-e-dil aam na ho jaa.e kahīñ
merī ḳhātir koī badnām na ho jaa.e kahīñ
vo bahut sāda-o-māsūm haiñ un kī jānib
iltifāt-e-ġham-o-ālām na ho jaa.e kahīñ
talḳhiyāñ ghol na de bāda-e-hastī meñ koī
zindagī zahr bharā jaam na ho jaa.e kahīñ
rāh-e-ulfat meñ qadam rakh to diyā hai lekin
ham-safar gardish-e-ayyām na ho jaa.e kahīñ
terī rusvā.ī ke Dar se na bharī aah kabhī
lab pe aate hī tirā naam na ho jaa.e kahīñ
koī aañsū na sunā de unheñ afsāna-e-dil
ḳhāmushī morid-e-ilzām na ho jaa.e kahīñ
dil kī dhaḌkan hī mujhe terī ḳhabar detī hai
ḳhatm ye nāma-o-paiġhām na ho jaa.e kahīñ
zindagī dard-e-mohabbat se ibārat hai 'tufail'
dil ko is dard se ārām na ho jaa.e kahīñ
dastan-e-gham-e-dil aam na ho jae kahin
meri KHatir koi badnam na ho jae kahin
wo bahut sada-o-masum hain un ki jaanib
iltifat-e-gham-o-alam na ho jae kahin
talKHiyan ghol na de baada-e-hasti mein koi
zindagi zahr bhara jam na ho jae kahin
rah-e-ulfat mein qadam rakh to diya hai lekin
ham-safar gardish-e-ayyam na ho jae kahin
teri ruswai ke Dar se na bhari aah kabhi
lab pe aate hi tera nam na ho jae kahin
koi aansu na suna de unhen afsana-e-dil
KHamushi morid-e-ilzam na ho jae kahin
dil ki dhaDkan hi mujhe teri KHabar deti hai
KHatm ye nama-o-paigham na ho jae kahin
zindagi dard-e-mohabbat se ibarat hai 'tufail'
dil ko is dard se aaram na ho jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.