dastan-e-gham humne kah bhi di to kya hoga
dastan-e-gham humne kah bhi di to kya hoga
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
dāstān-e-ġham ham ne kah bhī dī to kyā hogā
aur baḌh ga.ī dil kī be-kalī to kyā hogā
umr-e-rafta ke qisse dosto na doharāo
koī yād-e-ḳhvābīda jaag uThī to kyā hogā
zindagī to apnī hai luT ga.ī to phir kyā ġham
ġham tirī amānat hai chhin ga.ī to kyā hogā
dard se sañvārī hai rūh-e-zindagī ham ne
dard ko na raas aa.ī zindagī to kyā hogā
dastan-e-gham hum ne kah bhi di to kya hoga
aur baDh gai dil ki be-kali to kya hoga
umr-e-rafta ke qisse dosto na doharao
koi yaad-e-KHwabida jag uThi to kya hoga
zindagi to apni hai luT gai to phir kya gham
gham teri amanat hai chhin gai to kya hoga
dard se sanwari hai ruh-e-zindagi hum ne
dard ko na ras aai zindagi to kya hoga
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 142)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.