dastan-e-gardish-e-ayyam likhta jaunga
dāstān-e-gardish-e-ayyām likhtā jā.uñgā
maiñ muarriḳh huuñ tirā anjām likhtā jā.uñgā
rah na jaa.e suunā suunā terī hastī kā varaq
ḳhūb-sūrat sā koī ilzām likhtā jā.uñgā
is sadī ne jis qadar ranj-o-ġham baḳhshe mujhe
bas usī kī dāstāñ har gaam likhtā jā.uñgā
rañg-birañgī titliyoñ aur jugnuoñ ke vāste
dukh achhūte kuchh nirāle kaam likhtā jā.uñgā
har jagah phailā.ī hai maiñ ne qalam kī raushnī
jis taraf jā.ūñgā ik paiġhām likhtā jā.uñgā
kyoñ 'azāb-e-jāñ ise duniyā samajhtī hai 'adīm'
zaḳhm gahre hī sahī in'ām likhtā jā.uñgā
dastan-e-gardish-e-ayyam likhta jaunga
main muarriKH hun tera anjam likhta jaunga
rah na jae suna suna teri hasti ka waraq
KHub-surat sa koi ilzam likhta jaunga
is sadi ne jis qadar ranj-o-gham baKHshe mujhe
bas usi ki dastan har gam likhta jaunga
rang-birangi titliyon aur jugnuon ke waste
dukh achhute kuchh nirale kaam likhta jaunga
har jagah phailai hai main ne qalam ki raushni
jis taraf jaunga ek paigham likhta jaunga
kyon 'azab-e-jaan ise duniya samajhti hai 'adim'
zaKHm gahre hi sahi in'am likhta jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.