dastan-e-hijr kya hai KHun-chakan tere baghair
dastan-e-hijr kya hai KHun-chakan tere baghair
Mazharul Qayyum Mazhar
MORE BYMazharul Qayyum Mazhar
dāstān-e-hijr kyā hai ḳhūñ-chakāñ tere baġhair
ek pal hai sau baras ai jān-e-jāñ tere baġhair
kyā sunā.ūñ hāl-e-dil ai mahv-e-ḳhvāb-e-izz-o-nāz
ho chukī hai zindagī vaqf-e-fuġhāñ tere baġhair
dīdanī hai husn-e-fitrat par hamāre vāste
ye bahār-e-rūh-parvar hai ḳhizāñ tere baġhair
hai shumār-e-āmad-o-raft-e-nafas kā mashġhala
ban ga.ī hai zindagī ik chīstāñ tere baġhair
tujh se kyā chhūTe ki ham saare jahāñ se chhuT ga.e
ho ga.e haiñ yūsuf-e-be-kārvāñ tere baġhair
ye shab-e-furqat to kaaTe se bhī kaTne ko nahīñ
ruk ga.ī ho jaise ye umr-e-ravāñ tere baġhair
ḳhauf lagtā hai mujhe lillāh tū bhī saath chal
mil rahā hai ḳhaak meñ ik naujavāñ tere baġhair
aa ki duniyā muntazir hai kab se istiqbāl ko
har zabāñ par al-amāñ hai ai amaañ tere baġhair
misl-e-tūtī kal chahaktā thā vo bazm-e-nāz meñ
aaj gum hai 'maz.har'-e-shīrīñ-zabāñ tere baġhair
dastan-e-hijr kya hai KHun-chakan tere baghair
ek pal hai sau baras ai jaan-e-jaan tere baghair
kya sunaun haal-e-dil ai mahw-e-KHwab-e-izz-o-naz
ho chuki hai zindagi waqf-e-fughan tere baghair
didani hai husn-e-fitrat par hamare waste
ye bahaar-e-ruh-parwar hai KHizan tere baghair
hai shumar-e-amad-o-raft-e-nafas ka mashghala
ban gai hai zindagi ek chistan tere baghair
tujh se kya chhuTe ki hum sare jahan se chhuT gae
ho gae hain yusuf-e-be-karwan tere baghair
ye shab-e-furqat to kaTe se bhi kaTne ko nahin
ruk gai ho jaise ye umr-e-rawan tere baghair
KHauf lagta hai mujhe lillah tu bhi sath chal
mil raha hai KHak mein ek naujawan tere baghair
aa ki duniya muntazir hai kab se istiqbaal ko
har zaban par al-aman hai ai aman tere baghair
misl-e-tuti kal chahakta tha wo bazm-e-naz mein
aaj gum hai 'mazhar'-e-shirin-zaban tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.