dastan-e-shabab kya kahiye
dāstān-e-shabāb kyā kahiye
nit-nayā inqilāb kyā kahiye
jo nazar hī nazar meñ hote haiñ
vo savāl-o-javāb kyā kahiye
ik nafas zabt ik nafas fariyād
zindagī kā hisāb kyā kahiye
dekhte bhī haiñ dekhte bhī nahīñ
is adā kā javāb kyā kahiye
rang-e-ruḳh aur bhī chamak uTThā
un kī shān-e-‘itāb kyā kahiye
āj-kal meñ guzar ga.e barsoñ
āj-kal kā hisāb kyā kahiye
un pe āḳhir nigāh jā Thahrī
haa.e ye intiḳhāb kyā kahiye
zindagī aur 'āshiqī bedār
ye do-gūna 'azāb kyā kahiye
dastan-e-shabab kya kahiye
nit-naya inqilab kya kahiye
jo nazar hi nazar mein hote hain
wo sawal-o-jawab kya kahiye
ek nafas zabt ek nafas fariyaad
zindagi ka hisab kya kahiye
dekhte bhi hain dekhte bhi nahin
is ada ka jawab kya kahiye
rang-e-ruKH aur bhi chamak uTTha
un ki shan-e-‘itab kya kahiye
aaj-kal mein guzar gae barson
aaj-kal ka hisab kya kahiye
un pe aaKHir nigah ja Thahri
hae ye intiKHab kya kahiye
zindagi aur 'ashiqi bedar
ye do-guna 'azab kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.