dastan-e-zindagi likhte magar rahne diya
dāstān-e-zindagī likhte magar rahne diyā
us ke har kirdār ko bas mo'atabar rahne diyā
koī manzil koī mafrūza na thā pesh-e-nazar
zer-e-pā ik rah-guzar thī rahguzar rahne diyā
dil ke har mausam ne baḳhshī daulat-e-ehsās-o-dard
sirf is sarmā.e ko zād-e-safar rahne diyā
saath ik ḳhush-bāsh lahja mahfiloñ meñ le ke aa.e
dil kī vīrānī ko tanhā apne ghar rahne diyā
shor kartī bhāgtī duniyā meñ shāmil bhī rahe
ek sur maddham sā dil ke saaz par rahne diyā
vaqt ke bahte hue dariyā pe kashtī Daal kar
saare andeshoñ se ḳhud ko be-ḳhabar rahne diyā
ḳhud-ġharaz thoḌā sā honā bhī zarūrī thā magar
tajraboñ se siikh kar bhī ye hunar rahne diyā
saarī duniyā ke liye har shab duā-e-ḳhair kī
zikr apnī ḳhvāhishoñ kā muḳhtasar rahne diyā
kyuuñ koī dekhe hamāre dil kī saarī mumlikat
ik jhalak dikhlā.ī hai aur beshtar rahne diyā
kaun dāman-gīr hai aksar ye kartā hai savāl
kar to saktīñ thiiñ bahut kuchh tum magar rahne diyā
dastan-e-zindagi likhte magar rahne diya
us ke har kirdar ko bas mo'atabar rahne diya
koi manzil koi mafruza na tha pesh-e-nazar
zer-e-pa ek rah-guzar thi rahguzar rahne diya
dil ke har mausam ne baKHshi daulat-e-ehsas-o-dard
sirf is sarmae ko zad-e-safar rahne diya
sath ek KHush-bash lahja mahfilon mein le ke aae
dil ki virani ko tanha apne ghar rahne diya
shor karti bhagti duniya mein shamil bhi rahe
ek sur maddham sa dil ke saz par rahne diya
waqt ke bahte hue dariya pe kashti Dal kar
sare andeshon se KHud ko be-KHabar rahne diya
KHud-gharaz thoDa sa hona bhi zaruri tha magar
tajrabon se sikh kar bhi ye hunar rahne diya
sari duniya ke liye har shab dua-e-KHair ki
zikr apni KHwahishon ka muKHtasar rahne diya
kyun koi dekhe hamare dil ki sari mumlikat
ek jhalak dikhlai hai aur beshtar rahne diya
kaun daman-gir hai aksar ye karta hai sawal
kar to saktin thin bahut kuchh tum magar rahne diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.