dastan hai hasin shararon ki
dāstāñ hai hasīñ sharāroñ kī
zindagī aag hai chanāroñ kī
shab-e-ġham ke ghane añdheroñ meñ
kho ga.ī raushnī sitāroñ kī
maiñ ḳhizāñ ko lagā chukā huuñ gale
ab zarūrat nahīñ bahāroñ kī
aap kī merī dostī yuuñ hai
jaise lahroñ se ho kināroñ kī
be-sahāro yūñhī jiye jaao
laaj rah jā.egī sahāroñ kī
un ke ġham meñ guzar ga.ī 'nayyar'
zindagī ham jigar-figāroñ kī
dastan hai hasin shararon ki
zindagi aag hai chanaron ki
shab-e-gham ke ghane andheron mein
kho gai raushni sitaron ki
main KHizan ko laga chuka hun gale
ab zarurat nahin bahaaron ki
aap ki meri dosti yun hai
jaise lahron se ho kinaron ki
be-sahaaro yunhi jiye jao
laj rah jaegi sahaaron ki
un ke gham mein guzar gai 'nayyar'
zindagi hum jigar-figaron ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.