dastan ishq ki anjam tak aa pahunchi hai
dāstāñ ishq kī anjām tak aa pahuñchī hai
baat ab hasrat-e-nākām tak aa pahuñchī hai
jaane kyā haal ho rindān-e-balā-nosh kā ab
mai-kashī durd-e-tah-e-jām tak aa pahuñchī hai
baat phailī hai tire zulm kī shahroñ shahroñ
dāstāñ terī mire naam tak aa pahuñchī hai
jaane kis raah se laayā hai mujhe zauq-e-talab
justujū gardish-e-ayyām tak aa pahuñchī
ik na.ī sub.h kā bhī zikr hai aane vaalā
guftugū vaqt kī ab shaam tak aa pahuñchī hai
shikva-e-tishna-labī ḳhair ho maiḳhāne kī
bhiiḌ ab sāqī-e-gulfām tak aa pahuñchī hai
sochte kyā ho umar aa ke qarīb-e-manzil
baat ab jur.at-e-do-gām tak aa pahuñchī he
dastan ishq ki anjam tak aa pahunchi hai
baat ab hasrat-e-nakaam tak aa pahunchi hai
jaane kya haal ho rindan-e-bala-nosh ka ab
mai-kashi durd-e-tah-e-jam tak aa pahunchi hai
baat phaili hai tere zulm ki shahron shahron
dastan teri mere nam tak aa pahunchi hai
jaane kis rah se laya hai mujhe zauq-e-talab
justuju gardish-e-ayyam tak aa pahunchi
ek nai subh ka bhi zikr hai aane wala
guftugu waqt ki ab sham tak aa pahunchi hai
shikwa-e-tishna-labi KHair ho maiKHane ki
bhiD ab saqi-e-gulfam tak aa pahunchi hai
sochte kya ho umar aa ke qarib-e-manzil
baat ab jurat-e-do-gam tak aa pahunchi he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.