dastan jo bahut purani hai
dāstāñ jo bahut purānī hai
vo kisī ko nahīñ sunānī hai
maut se koī bach nahīñ saktā
maut to har kisī ko aanī hai
ik diyā phir havā meñ rakh ke aaj
apnī taqdīr āzmānī hai
bāhar aanā hai Duub kar mujh ko
sar se ūñchā agarche paanī hai
jis ko dekhā thā maiñ ne maqtal meñ
shakl anjānī bhī hai jaanī hai
dil hai ash.ār par fidā tere
terī ġhazloñ meñ kyā ravānī hai
baat mānūñgā ye kahā thā kal
tum ne 'ahmad' magar na maanī hai
dastan jo bahut purani hai
wo kisi ko nahin sunani hai
maut se koi bach nahin sakta
maut to har kisi ko aani hai
ek diya phir hawa mein rakh ke aaj
apni taqdir aazmani hai
bahar aana hai Dub kar mujh ko
sar se uncha agarche pani hai
jis ko dekha tha main ne maqtal mein
shakl anjaani bhi hai jaani hai
dil hai ashaar par fida tere
teri ghazlon mein kya rawani hai
baat manunga ye kaha tha kal
tum ne 'ahmad' magar na mani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.