dastan wasl ki ek baat se aage na baDhi
dāstāñ vasl kī ik baat se aage na baḌhī
aap kī shikva-shikāyat se aage na baḌhī
laakh rotī rahī jaltī rahī afsos magar
zindagī sham.a kī ik raat se aage na baḌhī
tū jafā-kesh rahā aur meñ vafā-kosh rahā
baat terī bhī mirī baat se aage na baḌhī
yuuñ to āġhāz-e-mohabbat meñ baḌe da.ave the
dostī pahlī mulāqāt se aage na baḌhī
mil ga.e jab vahī shikve vahī qisse 'as.ad'
ye ḳhurāfāt ḳhurāfāt se aage na baḌhī
dastan wasl ki ek baat se aage na baDhi
aap ki shikwa-shikayat se aage na baDhi
lakh roti rahi jalti rahi afsos magar
zindagi shama ki ek raat se aage na baDhi
tu jafa-kesh raha aur mein wafa-kosh raha
baat teri bhi meri baat se aage na baDhi
yun to aaghaz-e-mohabbat mein baDe dawe the
dosti pahli mulaqat se aage na baDhi
mil gae jab wahi shikwe wahi qisse 'asad'
ye KHurafat KHurafat se aage na baDhi
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 50)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.