dastan yun badal gai hogi
dāstāñ yuuñ badal ga.ī hogī
mauj sāhil nigal ga.ī hogī
tum ko shāyad yaqīñ na aa.e par
aag paanī se jal ga.ī hogī
chand pal rahtī hai anā us kī
barf ban kar pighal ga.ī hogī
haa.e anjām kis gumāñ kā hai ye
shāḳh kuchh phuul phal ga.ī hogī
raat bhar āsmān royā thā
sub.h sīlan se gal ga.ī hogī
dekh hālat mirī jabīneñ ka.ī
girte girte sambhal ga.ī hogī
moḌ se duurī par khaḌā huuñ maiñ
gaaḌī rasta badal ga.ī hogī
ghaav detī hai ab vo mom zabāñ
ġhair sāñche meñ Dhal ga.ī hogī
pahle jo thā vahī huuñ maiñ ab bhī
fitrat us kī badal ga.ī hogī
dastan yun badal gai hogi
mauj sahil nigal gai hogi
tum ko shayad yaqin na aae par
aag pani se jal gai hogi
chand pal rahti hai ana us ki
barf ban kar pighal gai hogi
hae anjam kis guman ka hai ye
shaKH kuchh phul phal gai hogi
raat bhar aasman roya tha
subh silan se gal gai hogi
dekh haalat meri jabinen kai
girte girte sambhal gai hogi
moD se duri par khaDa hun main
gaDi rasta badal gai hogi
ghaw deti hai ab wo mom zaban
ghair sanche mein Dhal gai hogi
pahle jo tha wahi hun main ab bhi
fitrat us ki badal gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.