dawa-e-amn karen hath mein chaqu rakkhen
da.avā-e-amn kareñ haath meñ chāqū rakkheñ
aur hameñ dars ki jazbāt pe qaabū rakkheñ
itnī pahchān hī kaafī hai riyā-kāroñ kī
ġham kā iz.hār kareñ aañkh meñ aañsū rakkheñ
adl kā ḳhuun kareñ phir bhī ba-zo.am-e-insāf
apne hāthoñ meñ vahī log tarāzū rakkheñ
muflisī laakh sahī phuul se bachche phir bhī
mere hote hue kyoñ aañkh meñ aañsū rakkheñ
apnā lahja hī baḌā talḳh hai 'vāsif' sāhab
kyā kisī sher meñ alfāz kā jaadū rakkheñ
dawa-e-amn karen hath mein chaqu rakkhen
aur hamein dars ki jazbaat pe qabu rakkhen
itni pahchan hi kafi hai riya-karon ki
gham ka izhaar karen aankh mein aansu rakkhen
adl ka KHun karen phir bhi ba-zoam-e-insaf
apne hathon mein wahi log taraazu rakkhen
muflisi lakh sahi phul se bachche phir bhi
mere hote hue kyon aankh mein aansu rakkhen
apna lahja hi baDa talKH hai 'wasif' sahab
kya kisi sher mein alfaz ka jadu rakkhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.