dawa hai aazmaiye chahe jahan mujhe
da.avā hai āzmā.iye chāhe jahāñ mujhe
huuñ bā-vafā qubūl hai har imtihāñ mujhe
farsūda ahl-e-ishq ke afsāne ho ga.e
likhnī hai tarz-e-nau se mirī dāstāñ mujhe
zāhid ne zikr-e-ḳhuld meñ kī thī nishāñ-dahī
mālūm mai-kada thā na kū-e-butāñ mujhe
har rahguzar pe chhoḌe haiñ kuchh aise naqsh-e-pā
ki DhūñDhtā rahegā har ik kārvāñ mujhe
us manzil-e-hayāt meñ hai ab junūñ mirā
ḳhvāhish hai suud kī na to ḳhauf-e-ziyāñ mujhe
un kī jafā pe koī unheñ Toktā nahīñ
talqīn-e-sabr kartā hai saarā jahāñ mujhe
'raunaq' zamāna kuchh bhī kahe is kā ġham nahīñ
vo bad-gumāñ haiñ mujh se nahiñ ye gumāñ mujhe
dawa hai aazmaiye chahe jahan mujhe
hun ba-wafa qubul hai har imtihan mujhe
farsuda ahl-e-ishq ke afsane ho gae
likhni hai tarz-e-nau se meri dastan mujhe
zahid ne zikr-e-KHuld mein ki thi nishan-dahi
malum mai-kada tha na ku-e-butan mujhe
har rahguzar pe chhoDe hain kuchh aise naqsh-e-pa
ki DhunDhta rahega har ek karwan mujhe
us manzil-e-hayat mein hai ab junun mera
KHwahish hai sud ki na to KHauf-e-ziyan mujhe
un ki jafa pe koi unhen Tokta nahin
talqin-e-sabr karta hai sara jahan mujhe
'raunaq' zamana kuchh bhi kahe is ka gham nahin
wo bad-guman hain mujh se nahin ye guman mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.