daba jo rakh ki tah mein sharar na KHatm hua
dabā jo raakh kī tah meñ sharar na ḳhatm huā
bhaḌak uThegā dabāv agar na ḳhatm huā
laraz rahe haiñ musāfir ke rauñgTe ab tak
panāh-gah meñ bhī luTne kā Dar na ḳhatm huā
mileñ jo raah meñ dekheñ na aañkh bhar kar ham
ghaTā hai rabt magar is qadar na ḳhatm huā
rachā huā hai tajassus kā sam fazāoñ meñ
ajab fasāna thā anjām par na ḳhatm huā
har ek samt se phuuT aa.ī haiñ na.ī shāḳheñ
tane ke kaTne se nām-e-shajar na ḳhatm huā
uThā ke dost mujhe chal diye haiñ kāñdhoñ par
hayāt ḳhatm huī par safar na ḳhatm huā
fasīl-e-jabr meñ dekhe usī ke sapne 'jān'
kisī bhī haal meñ zauq-e-nazar na ḳhatm huā
daba jo rakh ki tah mein sharar na KHatm hua
bhaDak uThega dabaw agar na KHatm hua
laraz rahe hain musafir ke raungTe ab tak
panah-gah mein bhi luTne ka Dar na KHatm hua
milen jo rah mein dekhen na aankh bhar kar hum
ghaTa hai rabt magar is qadar na KHatm hua
racha hua hai tajassus ka sam fazaon mein
ajab fasana tha anjam par na KHatm hua
har ek samt se phuT aai hain nai shaKHen
tane ke kaTne se nam-e-shajar na KHatm hua
uTha ke dost mujhe chal diye hain kandhon par
hayat KHatm hui par safar na KHatm hua
fasil-e-jabr mein dekhe usi ke sapne 'jaan'
kisi bhi haal mein zauq-e-nazar na KHatm hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.