dabaya sar to kaha dard mere sar mein nahin
dabaya sar to kaha dard mere sar mein nahin
Inayat Ali Khan Inayat
MORE BYInayat Ali Khan Inayat
dabāyā sar to kahā dard mere sar meñ nahīñ
kamar dabā.ī to bole miyāñ kamar meñ nahīñ
jo tere uploñ meñ bū hai nahīñ vo ambar meñ
jo ThūTiyoñ meñ tirī bū hai vo agar meñ nahīñ
adū ke vaar kī maiñ fikr kyoñ karūñ yaaro
vo rok hai mire juute meñ jo sipar meñ nahīñ
tumhārī fārsī bilkul nahīñ samajhtā maiñ
chalo palang pe tum maiñ agar magar meñ nahīñ
hamāre paas kahāñ zar TaTolte kyā ho
sivā.e zor ke ab kuchh mirī kamar meñ nahīñ
qadīm hī se mirā nafs sīdhā-sāda hai
sivā.e ḳhair ke ab tak kisī ke shar meñ nahīñ
koī nazīr dikhāo mujhe koī qānūn
jo kāTte ho mirā sir ye circular meñ nahīñ
lañgoT tak bhī mirā le ga.e vo añgiyā ko
luTā huuñ aisā ki koī luTā ġhadar meñ nahīñ
hazāroñ bose diye jaate ho raqīboñ ko
hamāre vāste koī nazar-guzar meñ nahīñ
maiñ apne khūñTe ke bal kūdtā huuñ ai mun.im
jo zor hai mire baazū meñ tere zar meñ nahīñ
bachā ke vaar adū ke lagā.ūñgā farsā
nahīñ hai ḳhauf mujhe teġh gar kamar meñ nahīñ
kisī kā zard hai muñh aur kisī kā kaalā hai
tumhāre misl jafā charḳh-e-nīl-gar meñ nahīñ
sikhā diyā hai ye darbāñ ko us parī-rū ne
'ināyat' aa.e to kah de huzūr ghar meñ nahīñ
dabaya sar to kaha dard mere sar mein nahin
kamar dabai to bole miyan kamar mein nahin
jo tere uplon mein bu hai nahin wo ambar mein
jo ThuTiyon mein teri bu hai wo agar mein nahin
adu ke war ki main fikr kyon karun yaro
wo rok hai mere jute mein jo sipar mein nahin
tumhaari farsi bilkul nahin samajhta main
chalo palang pe tum main agar magar mein nahin
hamare pas kahan zar TaTolte kya ho
siwae zor ke ab kuchh meri kamar mein nahin
qadim hi se mera nafs sidha-sada hai
siwae KHair ke ab tak kisi ke shar mein nahin
koi nazir dikhao mujhe koi qanun
jo kaTte ho mera sir ye circular mein nahin
langoT tak bhi mera le gae wo angiya ko
luTa hun aisa ki koi luTa ghadar mein nahin
hazaron bose diye jate ho raqibon ko
hamare waste koi nazar-guzar mein nahin
main apne khunTe ke bal kudta hun ai munim
jo zor hai mere bazu mein tere zar mein nahin
bacha ke war adu ke lagaunga farsa
nahin hai KHauf mujhe tegh gar kamar mein nahin
kisi ka zard hai munh aur kisi ka kala hai
tumhaare misl jafa charKH-e-nil-gar mein nahin
sikha diya hai ye darban ko us pari-ru ne
'inayat' aae to kah de huzur ghar mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.