dabi aawaz mein karti thi kal shikwe zamin mujhse
dabī āvāz meñ kartī thī kal shikve zamīñ mujh se
ki zulm o jaur kā ye bojh uTh saktā nahīñ mujh se
agar ye kashmakash baaqī rahī jahl o tamaddun kī
zamāna chhīn legā daulat-e-ilm-o-yaqīñ mujh se
tumhīñ se kyā chhupānā hai tumhārī hī to bāteñ haiñ
jo kahtī hai tamannā kī nigāh-e-vāpsīñ mujh se
nigāheñ chaar hote hī bhalā kyā hashr uTh jaatā
yaqīnan is se pahle bhī mile haiñ vo kahīñ mujh se
dikhā dī maiñ ne vo manzil jo in donoñ ke aage hai
pareshāñ haiñ ki āḳhir ab kaheñ kyā kufr o diiñ mujh se
ye maanā zarra-e-āvāra-e-dasht-e-vafā huuñ maiñ
nibhānā hī paḌegā tujh ko duniyā-e-hasīñ mujh se
sar-e-manzil pahuñch kar aaj ye mahsūs hotā hai
ki lākhoñ laġhzisheñ har gaam par hotī rahīñ mujh se
udhar saarī tamannāoñ kā markaz āstāñ un kā
idhar barham tamannā par mirī sarkash jabīñ mujh se
dabi aawaz mein karti thi kal shikwe zamin mujh se
ki zulm o jaur ka ye bojh uTh sakta nahin mujh se
agar ye kashmakash baqi rahi jahl o tamaddun ki
zamana chhin lega daulat-e-ilm-o-yaqin mujh se
tumhin se kya chhupana hai tumhaari hi to baaten hain
jo kahti hai tamanna ki nigah-e-wapsin mujh se
nigahen chaar hote hi bhala kya hashr uTh jata
yaqinan is se pahle bhi mile hain wo kahin mujh se
dikha di main ne wo manzil jo in donon ke aage hai
pareshan hain ki aaKHir ab kahen kya kufr o din mujh se
ye mana zarra-e-awara-e-dasht-e-wafa hun main
nibhana hi paDega tujh ko duniya-e-hasin mujh se
sar-e-manzil pahunch kar aaj ye mahsus hota hai
ki lakhon laghzishen har gam par hoti rahin mujh se
udhar sari tamannaon ka markaz aastan un ka
idhar barham tamanna par meri sarkash jabin mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.