dabi ho baat jo dil mein use bahar nikala kar
dabī ho baat jo dil meñ use bāhar nikālā kar
nigāhoñ meñ basā kar ke hasīñ ik ḳhvāb paalā kar
udāsī kyoñ rahe man meñ udāsī to rulātī hai
zarūrī hai udāsī pe ḳhushī kā rang Daalā kar
burā ho vaqt tab ḳhud ko bikharne se bachānā hai
magar ye shart hai koshish kisī sāñche meñ Dhālā kar
irāda hai badalne kā to koshish kar badalne kī
agar sūraj nahīñ hai to charāġhoñ se ujālā kar
milegī haar yā phir jiit kā parcham uThā.egā
natīja jo rahe lekin nayā sikka uchhālā kar
dabi ho baat jo dil mein use bahar nikala kar
nigahon mein basa kar ke hasin ek KHwab pala kar
udasi kyon rahe man mein udasi to rulati hai
zaruri hai udasi pe KHushi ka rang Dala kar
bura ho waqt tab KHud ko bikharne se bachana hai
magar ye shart hai koshish kisi sanche mein Dhaala kar
irada hai badalne ka to koshish kar badalne ki
agar suraj nahin hai to charaghon se ujala kar
milegi haar ya phir jit ka parcham uThaega
natija jo rahe lekin naya sikka uchhaala kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.