dafatan ho gai gul sham-e-wafa tere baad
dafatan ho gai gul sham-e-wafa tere baad
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
daf.atan ho ga.ī gul sham-e-vafā tere baad
ḳhāna-e-dil meñ ujālā na huā tere baad
mausam-e-josh-e-junūñ meñ huā pāmāl chaman
le uḌī ḳhushbū-e-gul bād-e-sabā tere baad
jām-e-mai shola-e-javvāla nazar aatā hai
aag barsātī hai sāvan kī ghaTā tere baad
bātinī karb-o-aziyyat maiñ batā.ūñ kis ko
koī hamrāz mujhe mil na sakā tere ba.ad
jab bhī suljhāna hoñ pechīda masā.il mujh ko
chūmtā huuñ tire naqsh-e-kaf-e-pā tere baad
dil meñ rah rah ke mire roz chubhā kartī hai
ḳhaar ban ke tirī har tarz-e-adā tere baad
maut dar-asl hai tamhīd-e-hayāt-e-dā.im
rāz-e-hastī yahī 'sāhil' pe khulā tere baad
dafatan ho gai gul sham-e-wafa tere baad
KHana-e-dil mein ujala na hua tere baad
mausam-e-josh-e-junun mein hua pamal chaman
le uDi KHushbu-e-gul baad-e-saba tere baad
jam-e-mai shola-e-jawwala nazar aata hai
aag barsati hai sawan ki ghaTa tere baad
baatini karb-o-aziyyat main bataun kis ko
koi hamraaz mujhe mil na saka tere baad
jab bhi suljhana hon pechida masail mujh ko
chumta hun tere naqsh-e-kaf-e-pa tere baad
dil mein rah rah ke mere roz chubha karti hai
KHar ban ke teri har tarz-e-ada tere baad
maut dar-asl hai tamhid-e-hayat-e-daim
raaz-e-hasti yahi 'sahil' pe khula tere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.