dagha fareb jafa aur gham-e-judai mili
daġhā fareb jafā aur ġham-e-judā.ī milī
qadam qadam pe mujhe us se bevafā.ī milī
vo kah rahā thā mukammal vafā kā paikar huuñ
ka.ī hasīnoñ se to us kī āshnā.ī milī
ba-qaul us ke murassā ġhazal kā shā.ir hai
ġhazal kī aas thī us se magar rubā.ī milī
vo kah rahā thā ki ḳhūn-e-jigar se likhtā huuñ
parakh kiyā to lahū-rang raushnā.ī milī
maiñ zindagī ko samajhtī thī an-chhuī hai ye
magar ye ishq ke hāthoñ bahut satā.ī milī
mirī ġhazal meñ mukammal vo aa gayā to lagā
mire qalam ko mire fikr kī kamā.ī milī
dagha fareb jafa aur gham-e-judai mili
qadam qadam pe mujhe us se bewafai mili
wo kah raha tha mukammal wafa ka paikar hun
kai hasinon se to us ki aashnai mili
ba-qaul us ke murassa ghazal ka shair hai
ghazal ki aas thi us se magar rubai mili
wo kah raha tha ki KHun-e-jigar se likhta hun
parakh kiya to lahu-rang raushnai mili
main zindagi ko samajhti thi an-chhui hai ye
magar ye ishq ke hathon bahut satai mili
meri ghazal mein mukammal wo aa gaya to laga
mere qalam ko mere fikr ki kamai mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.