Dagar Dagar hain bandishen tera nagar kamal hai
Dagar Dagar haiñ bandisheñ tirā nagar kamāl hai
haiñ lahr lahr sāzisheñ nadī nadī meñ jaal hai
ye jang bhī ajiib hai ki ham haiñ mubtalā-e-jang
jo aap ke haiñ aslahe to apnī sirf Dhaal hai
hai apne qāfile kā rāhzan hī apnā rahnumā
jo tum kaho misāl hai to ham kaheñ zavāl hai
haiñ manzileñ bhī gum-shuda to rāste bhī kho ga.e
ye kaisā moḌ aa gayā qadam qadam muhāl hai
ajiib ik bahāo sā mire vajūd meñ nihāñ
nazar nazar ḳhamosh hai lahū lahū ubaal hai
uTho ki DhūñDnī hai phir vo chāñdnī vo raushnī
ye ruuh so ga.ī hai kyoñ ye jism kyoñ niDhāl hai
Dagar Dagar hain bandishen tera nagar kamal hai
hain lahr lahr sazishen nadi nadi mein jal hai
ye jang bhi ajib hai ki hum hain mubtala-e-jang
jo aap ke hain aslahe to apni sirf Dhaal hai
hai apne qafile ka rahzan hi apna rahnuma
jo tum kaho misal hai to hum kahen zawal hai
hain manzilen bhi gum-shuda to raste bhi kho gae
ye kaisa moD aa gaya qadam qadam muhaal hai
ajib ek bahao sa mere wajud mein nihan
nazar nazar KHamosh hai lahu lahu ubaal hai
uTho ki DhunDni hai phir wo chandni wo raushni
ye ruh so gai hai kyon ye jism kyon niDhaal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.