Dagmagata laDkhaData jhumta jata hun main
Dagmagātā laḌkhaḌātā jhūmtā jaatā huuñ maiñ
tujh tak ai bāb-e-fanā siine ke bal aatā huuñ maiñ
shahr kī bārīkiyoñ meñ phañs gayā huuñ is tarah
chain kī ik saañs kī mohlat nahīñ paatā huuñ maiñ
jab bhī registānoñ meñ jaane kā hotā ittifāq
ghuTne ghuTne zaat kī partoñ meñ dhañs jaatā huuñ maiñ
chal ke bāġh-e-seb meñ aurāq-e-jamshedī paḌhūñ
apnī kaifiyyat se ḳhud ko be-ḳhabar paatā huuñ maiñ
goshe goshe meñ farozāñ ātish-e-lab-hā-e-surḳh
is shafaq meñ dam-ba-dam āñkhoñ ko nahlātā huuñ maiñ
aah vo āñkheñ ki jin ke gird hai uudā ġhubār
gah kuñ.eñ meñ Dūbtā huuñ gah ubhar aatā huuñ maiñ
Dagmagata laDkhaData jhumta jata hun main
tujh tak ai bab-e-fana sine ke bal aata hun main
shahr ki barikiyon mein phans gaya hun is tarah
chain ki ek sans ki mohlat nahin pata hun main
jab bhi registanon mein jaane ka hota ittifaq
ghuTne ghuTne zat ki parton mein dhans jata hun main
chal ke bagh-e-seb mein auraq-e-jamshedi paDhun
apni kaifiyyat se KHud ko be-KHabar pata hun main
goshe goshe mein farozan aatish-e-lab-ha-e-surKH
is shafaq mein dam-ba-dam aankhon ko nahlata hun main
aah wo aankhen ki jin ke gird hai uda ghubar
gah kunen mein Dubta hun gah ubhar aata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.