dahka paDa hai jama-e-gul yar KHair ho
dahkā paḌā hai jāma-e-gul yaar ḳhair ho
jalne lage haiñ dāman-e-gulzār ḳhair ho
chhalkā paḌā hai chehroñ se ik vahshat-e-junūñ
phailā paḌā hai ishq kā bāzār ḳhair ho
kin hādsātī daur se do-chār in dinoñ
aa baiThe haiñ ab ghar meñ hī aġhyār ḳhair ho
''girne lage haiñ sar dar-o-dīvār ḳhair ho''
lagte nahīñ haiñ achchhe kuchh ash.ār ḳhair ho
bikne ko haiñ ab ham nahīñ tayyār ḳhair ho
uThne ko haiñ ab kūcha-o-bāzār ḳhair ho
dahka paDa hai jama-e-gul yar KHair ho
jalne lage hain daman-e-gulzar KHair ho
chhalka paDa hai chehron se ek wahshat-e-junun
phaila paDa hai ishq ka bazar KHair ho
kin hadsati daur se do-chaar in dinon
aa baiThe hain ab ghar mein hi aghyar KHair ho
girne lage hain sar dar-o-diwar KHair ho
lagte nahin hain achchhe kuchh ashaar KHair ho
bikne ko hain ab hum nahin tayyar KHair ho
uThne ko hain ab kucha-o-bazar KHair ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.