dair-o-haram ke bich agar mai-kada na ho
dair-o-haram ke biich agar mai-kada na ho
insāniyat ke naam kā raushan diyā na ho
ik ek harf sher kā gar boltā na ho
duniyā-e-shā.irī meñ koī mo.ajiza na ho
ta.amīr-e-qasr-e-dil ho ki tasḳhīr-e-kā.enāt
himmat se kaam lo to koī kaam kyā na ho
vo but-parast ho ki musalmān sach batā
aisā bhī koī hai jo tujhe chāhtā na ho
mujh ko atā vo zor-e-qalam ho ki ai ḳhudā
aisā adab likhūñ jo kisī ne likhā na ho
vo is liye hijāb meñ rahte haiñ rāt-din
be-pardagī se fitna-e-mahshar bapā na ho
mansūb tere naam se jo shahr hai 'niyāz'
aisā na ho ki vo bhī tujhe jāntā na ho
dair-o-haram ke bich agar mai-kada na ho
insaniyat ke nam ka raushan diya na ho
ek ek harf sher ka gar bolta na ho
duniya-e-shairi mein koi moajiza na ho
tamir-e-qasr-e-dil ho ki tasKHir-e-kaenat
himmat se kaam lo to koi kaam kya na ho
wo but-parast ho ki musalman sach bata
aisa bhi koi hai jo tujhe chahta na ho
mujh ko ata wo zor-e-qalam ho ki ai KHuda
aisa adab likhun jo kisi ne likha na ho
wo is liye hijab mein rahte hain raat-din
be-pardagi se fitna-e-mahshar bapa na ho
mansub tere nam se jo shahr hai 'niyaz'
aisa na ho ki wo bhi tujhe jaanta na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.