dair-o-haram mein dekho laDaya gaya hamein
dair-o-haram meñ dekho laḌāyā gayā hameñ
kuchh is tarah jamūrā banāyā gayā hameñ
dekhā kalām-e-ḳhvāb magar biis biis tak
lekin ye kaisī samt meñ laayā gayā hameñ
ik din janāb-e-shaiḳh ko sūjhā ki kuchh kareñ
us shaam dar qatār sajāyā gayā hameñ
jitne siyāh daaġh haiñ lo abkī baar ham
lā.eñge dhan siyāh jatāyā gayā hameñ
is par sitam zamāne kī ye chaal dekhiye
kuuze meñ dar-ba-dar ko ghumāyā gayā hameñ
āvāz aap nīche rakheñ aur leñ nikal
'ahsan' ḳhamosh rah ye batāyā gayā hameñ
dair-o-haram mein dekho laDaya gaya hamein
kuchh is tarah jamura banaya gaya hamein
dekha kalam-e-KHwab magar bis bis tak
lekin ye kaisi samt mein laya gaya hamein
ek din janab-e-shaiKH ko sujha ki kuchh karen
us sham dar qatar sajaya gaya hamein
jitne siyah dagh hain lo abki bar hum
laenge dhan siyah jataya gaya hamein
is par sitam zamane ki ye chaal dekhiye
kuze mein dar-ba-dar ko ghumaya gaya hamein
aawaz aap niche rakhen aur len nikal
'ahsan' KHamosh rah ye bataya gaya hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.