dair-o-haram se kaam na ku-e-butan se hai
dair-o-haram se kaam na kū-e-butāñ se hai
vābasta zindagī tire dard-e-nihāñ se hai
āġhāz-e-dard-e-ishq na pūchho kahāñ se hai
ye baat māvarā ġham-e-sharh-o-bayāñ se hai
kitne maze se ahl-e-fanā kī guzar ga.ī
jo qaid hai ta.ayyun nām-o-nishāñ se hai
kab se huuñ ġham-nasīb-e-mohabbat na pūchhiye
ye dekhiye ki silsila-e-ġham kahāñ se hai
vāqif mizāj-e-gul se na rañg-e-bahār se
kahne ko to lagāv gul-o-gulsitāñ se hai
duniyā hai ḳhud fareb umiid is se kyā rakheñ
kuchh aas hai to sirf tire āstāñ se hai
jo āshnā ho jalva-e-sad-rang se tire
kyā kaam us ko farq bahār-o-ḳhizāñ se hai
gulchīñ qafas bahār ḳhizāñ barq āñdhiyāñ
kitnoñ kā naam ek mere gulistāñ se hai
jis par haqīqat safar-e-zindagī khulī
vo kārvāñ meñ rah ke alag kārvāñ se hai
so āshiyāñ chaman meñ raheñ to rahā kareñ
jo iḳhtilāf hai vo mire āshiyāñ se hai
rūdād-e-zindagī bhī hai apnī ajiib 'shauq'
har shaḳhs bad-gumān mirī dāstāñ se hai
dair-o-haram se kaam na ku-e-butan se hai
wabasta zindagi tere dard-e-nihan se hai
aaghaz-e-dard-e-ishq na puchho kahan se hai
ye baat mawara gham-e-sharh-o-bayan se hai
kitne maze se ahl-e-fana ki guzar gai
jo qaid hai tayyun nam-o-nishan se hai
kab se hun gham-nasib-e-mohabbat na puchhiye
ye dekhiye ki silsila-e-gham kahan se hai
waqif mizaj-e-gul se na rang-e-bahaar se
kahne ko to lagaw gul-o-gulsitan se hai
duniya hai KHud fareb umid is se kya rakhen
kuchh aas hai to sirf tere aastan se hai
jo aashna ho jalwa-e-sad-rang se tere
kya kaam us ko farq bahaar-o-KHizan se hai
gulchin qafas bahaar KHizan barq aandhiyan
kitnon ka nam ek mere gulistan se hai
jis par haqiqat safar-e-zindagi khuli
wo karwan mein rah ke alag karwan se hai
so aashiyan chaman mein rahen to raha karen
jo iKHtilaf hai wo mere aashiyan se hai
rudad-e-zindagi bhi hai apni ajib 'shauq'
har shaKHs bad-guman meri dastan se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.