Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saqi gaya hai ruTh ke humse hazar-haif

Qadr Aurangabadi

saqi gaya hai ruTh ke humse hazar-haif

Qadr Aurangabadi

MORE BYQadr Aurangabadi

    saaqī gayā hai ruuTh ke ham se hazār-haif

    aatī hai kyoñ dhuum se ab ke bahār haif

    kal shoḳh se do-chār maiñ ho raah meñ kahā

    kis male ho haat meñ ḳhuuñ ko nigār haif

    kahne lagā ki kuchh hai tujhe sūjhtā nahīñ

    andhe ye hai hinā na kah bār-bār haif

    neñ to qasam ḳhudā maiñ samjhūñgā be-tarah

    kuchh bhī shu.ūr hai tujhe ai bad-shi.ār haif

    maiñ ne kahā ki baḳhsho miyāñ lo ḳhudā naam

    achchhe ho tum bhī roz ho lekin hazār-haif

    majnūñ-sifat phirūñ huuñ maiñ sahrā meñ to bhī haa.e

    ai lailā-vash kiyā nahīñ bos-o-kanār haif

    royā huuñ bas-ki hijr meñ āñkheñ huiiñ safed

    muddat guzar ga.iiñ na milā to yaar haif

    us be-vafā neñ sun ke ġhazab se kahā mujhe

    kis din kiyā thā mujh pe dil apnā nisār haif

    maiñ tujh ko jāntā nahīñ huuñ ḳhudā soñ

    aave hai mujh ko hone se tere do-chār haif

    vaqte ki til-ruḳhān-e-jahāñ ye rang ho

    phir zindagī jahān meñ kiije hazār-haif

    saqi gaya hai ruTh ke hum se hazar-haif

    aati hai kyon tu dhum se ab ke bahaar haif

    kal shoKH se do-chaar main ho rah mein kaha

    kis ka male ho hat mein KHun ko nigar haif

    kahne laga ki kuchh hai tujhe sujhta nahin

    andhe ye hai hina tu na kah bar-bar haif

    nen to qasam KHuda ki main samjhunga be-tarah

    kuchh bhi shuur hai tujhe ai bad-shiar haif

    main ne kaha ki baKHsho miyan lo KHuda ka nam

    achchhe ho tum bhi roz ho lekin hazar-haif

    majnun-sifat phirun hun main sahra mein to bhi hae

    ai laila-wash kiya nahin bos-o-kanar haif

    roya hun bas-ki hijr mein aankhen huin safed

    muddat guzar gain na mila tu to yar haif

    us be-wafa nen sun ke ghazab se kaha mujhe

    kis din kiya tha mujh pe dil apna nisar haif

    main tujh ko jaanta hi nahin hun KHuda ki son

    aawe hai mujh ko hone se tere do-chaar haif

    waqte ki til-ruKHan-e-jahan ka ye rang ho

    phir zindagi jahan mein kije hazar-haif

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now