daldal mein dhans gae hum de kar tumhein sahaara kya aur chahte ho
daldal mein dhans gae hum de kar tumhein sahaara kya aur chahte ho
Shams Faridee
MORE BYShams Faridee
daldal meñ dhañs ga.e ham de kar tumheñ sahārā kyā aur chāhte ho
jo kuchh bhī thā hamārā vo sab huā tumhārā kyā aur chāhte ho
ham se agar gila hai tum ko na de sake kuchh to aao shauq se tum
ik jaañ bachī hai apnī le lo ise ḳhudārā kyā aur chāhte ho
apnī vafā ke badle dekho hamāre sar par bārish hai pattharoñ kī
ye ghar nahīñ rahā hai ab ghar bhī ye hamārā kyā aur chāhte ho
ye thī hamārī qismat yā vaqt ne diyā hai kuchh saath bhī tumhārā
ham ghir ga.e bhañvar meñ tum ko milā kinārā kyā aur chāhte ho
kyā zahr tum ne boyā miTTī kī soñdhī ḳhushbū ab ho ga.ī hai ġhā.eb
mausam ne bhar diyā hai har phuul meñ sharāra kyā aur chāhte ho
daldal mein dhans gae hum de kar tumhein sahaara kya aur chahte ho
jo kuchh bhi tha hamara wo sab hua tumhaara kya aur chahte ho
hum se agar gila hai tum ko na de sake kuchh to aao shauq se tum
ek jaan bachi hai apni le lo ise KHudara kya aur chahte ho
apni wafa ke badle dekho hamare sar par barish hai pattharon ki
ye ghar nahin raha hai ab ghar bhi ye hamara kya aur chahte ho
ye thi hamari qismat ya waqt ne diya hai kuchh sath bhi tumhaara
hum ghir gae bhanwar mein tum ko mila kinara kya aur chahte ho
kya zahr tum ne boya miTTi ki sondhi KHushbu ab ho gai hai ghaeb
mausam ne bhar diya hai har phul mein sharara kya aur chahte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.