dalil-e-subh-e-zarrin hai tu azmat ka nishan ho ja
dalīl-e-sub.h-e-zarrīñ hai tū azmat kā nishāñ ho jā
tirā manshūr aisā ho ki tū sīmīñ gumāñ ho jā
kaf-e-sehra-e-hastī se ḳhumār-e-sūfiyā le kar
anal-haq bhī pukāre jā charāġh-e-lā-makāñ ho jā
dikhā de jauharī unsur ki ho dushman ḳhamīda-sar
ḳhudī kā rāzdāñ ho kar chaman kā pāsbāñ ho jā
nasīhat-gar ḳhirad-āmez asās-e-mulk-e-mustahkam
bahār-e-anjuman dast-e-atā sirr-e-nihāñ ho jā
vasī.a-ul-fikr ho kar tū kulāh-e-qaisarī pā le
matā.a-e-sarvarī de kar faqīr-e-be-nishāñ ho jā
surūr-e-zindagānī ne shab-e-kulfat-zada baḳhshī
daqīqa sanj tū tadbīr se ātish fashāñ ho jā
nigahbān-e-vatan ai banda-e-momin guhar-afshāñ
shigāf-e-sīna-e-a.adā kā tū baa.is yahāñ ho jā
dalīl-e-qāte-e-bātil tirī shamshīr ho 'anjum'
adū-e-fāsiq-o-fājir azīz-e-be-kasāñ ho jā
dalil-e-subh-e-zarrin hai tu azmat ka nishan ho ja
tera manshur aisa ho ki tu simin guman ho ja
kaf-e-sehra-e-hasti se KHumar-e-sufiya le kar
anal-haq bhi pukare ja charagh-e-la-makan ho ja
dikha de jauhari unsur ki ho dushman KHamida-sar
KHudi ka raazdan ho kar chaman ka pasban ho ja
nasihat-gar KHirad-amez asas-e-mulk-e-mustahkam
bahaar-e-anjuman dast-e-ata sirr-e-nihan ho ja
wasia-ul-fikr ho kar tu kulah-e-qaisari pa le
mataa-e-sarwari de kar faqir-e-be-nishan ho ja
surur-e-zindagani ne shab-e-kulfat-zada baKHshi
daqiqa sanj tu tadbir se aatish fashan ho ja
nigahban-e-watan ai banda-e-momin guhar-afshan
shigaf-e-sina-e-ada ka tu bais yahan ho ja
dalil-e-qate-e-baatil teri shamshir ho 'anjum'
adu-e-fasiq-o-fajir aziz-e-be-kasan ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.