dam-ba-dam baDh rahi hai ye kaisi sada shahr walo suno
dam-ba-dam baḌh rahī hai ye kaisī sadā shahr vaalo suno
jaise aa.e dabe paañv sail-e-balā shahr vaalo suno
ḳhaak uḌātī na thī is tarah to havā us ko kyā ho gayā
dekho āvāz detā hai ik sāneha shahr vaalo suno
ye jo rātoñ meñ phirtā hai tanhā bahut hai akelā bahut
ho sake to kabhī us kā bhī mājrā shahr vaalo suno
ye hamīñ meñ se hai us ke ranj-o-alam us se pūchho kabhī
haañ suno us kī rūdād-e-mehr-o-vafā shahr vaalo suno
us ke jī meñ hai kyā us se pūchho zarā dekheñ kahtā hai kyā
kis ne us shaḳhs par koh-e-ġham Dhā diyā shahr vaalo suno
'umr bhar kā safar jis kā hāsil hai ik lamha-e-muḳhtasar
kis ne kyā kho diyā kis ne kyā pā liyā shahr vaalo suno
us kī be-ḳhvāb āñkhoñ meñ jhāñko kabhī us ko samjho kabhī
us ko bedār rakhtā hai kyā vāqi'a shahr vaalo suno
dam-ba-dam baDh rahi hai ye kaisi sada shahr walo suno
jaise aae dabe panw sail-e-bala shahr walo suno
KHak uDati na thi is tarah to hawa us ko kya ho gaya
dekho aawaz deta hai ek saneha shahr walo suno
ye jo raaton mein phirta hai tanha bahut hai akela bahut
ho sake to kabhi us ka bhi majra shahr walo suno
ye hamin mein se hai us ke ranj-o-alam us se puchho kabhi
han suno us ki rudad-e-mehr-o-wafa shahr walo suno
us ke ji mein hai kya us se puchho zara dekhen kahta hai kya
kis ne us shaKHs par koh-e-gham Dha diya shahr walo suno
'umr bhar ka safar jis ka hasil hai ek lamha-e-muKHtasar
kis ne kya kho diya kis ne kya pa liya shahr walo suno
us ki be-KHwab aankhon mein jhanko kabhi us ko samjho kabhi
us ko bedar rakhta hai kya waqi'a shahr walo suno
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.