dam-ba-dam gardish-e-dauran ka ghumaya hua shaKHs
dam-ba-dam gardish-e-daurāñ kā ghumāyā huā shaḳhs
ek din hashr uThātā hai girāyā huā shaḳhs
maiñ to ḳhud par bhī kifāyat se use ḳharch karūñ
vo hai mahñgā.ī meñ mushkil se kamāyā huā shaḳhs
yaad aatā hai to aatā hī chalā jaatā hai
kār-e-bekār zamāne meñ bhulāyā huā shaḳhs
dasht-e-be-āb meñ āvāz na alfāz kahīñ
har taraf dhuup thī phir peḌ kā saayā huā shaḳhs
jab zarūrat thī usī vaqt mujhe kyuuñ na milā
bas isī zid meñ gañvā baiThā huuñ paayā huā shaḳhs
kyā ajab ḳhvān-e-muqaddar hī uThā kar pheñke
DaañT kar ḳhvān-e-muqaddar se uThāyā huā shaḳhs
apnī shorīda-mizājī kā karūñ kyā 'nayyar'
ruuTh kar jā bhī chukā maan ke aayā huā shaḳhs
dam-ba-dam gardish-e-dauran ka ghumaya hua shaKHs
ek din hashr uThata hai giraya hua shaKHs
main to KHud par bhi kifayat se use KHarch karun
wo hai mahngai mein mushkil se kamaya hua shaKHs
yaad aata hai to aata hi chala jata hai
kar-e-bekar zamane mein bhulaya hua shaKHs
dasht-e-be-ab mein aawaz na alfaz kahin
har taraf dhup thi phir peD ka saya hua shaKHs
jab zarurat thi usi waqt mujhe kyun na mila
bas isi zid mein ganwa baiTha hun paya hua shaKHs
kya ajab KHwan-e-muqaddar hi uTha kar phenke
DanT kar KHwan-e-muqaddar se uThaya hua shaKHs
apni shorida-mizaji ka karun kya 'nayyar'
ruTh kar ja bhi chuka man ke aaya hua shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.